Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Abhi Ghar Na Jana
|
Pankaj Udhas | Pankaj Udhas | ||||
Afsana (Album) (0) | Ghazals | ||||||
abhi ghar na jana abhi ghar na jana
abhi ghar na jana abhi ghar na jana
ye bikhari si zulfe ye faila sa kaajal
ye feeka sa gazra ye simta saa aanchal
tere haal se log pehchaan lege
tujhe dekh ke lo mujhe jaan lege mujhe jaan lege
abhi ghar na jana abhi ghar na jana
abhi ghar na jana abhi ghar na jana
ye behake kadam ladkhadati jawaani
hain betaab dil aur mohabbat deewani
ye behake kadam ladkhadati jawaani
hain betaab dil aur mohabbat deewani
shafaq jaise gaano se ubhari huyi hain
mere hoth ki ek mehekti nishaani
tere jism se udati meri ye khudboo
suna degi harek ko saari kahaani
na banjaaye apna milan ek fasaana
milan ek fasaana
abhi ghar na jana abhi ghar na jana
abhi ghar na jana abhi ghar na jana
jo puchhega koi to tum kya kahogi
sawalo ki bauchhar mein chup rahogi
jo puchhega koi to tum kya kahogi
sawalo ki bauchhar mein chup rahogi
pareshaan ghabhrai si khamoshi mein
jawaabo ki manzil bahot door hogi
bujurago ki aankhein udda degi ranggat
saheli ki taane kahan tak sahogi
na banjaaye khud jaal har ik bahana har ik bahana
abhi ghar na jana abhi ghar na jana
abhi ghar na jana abhi ghar na jana
khuda na karein tere bin ab jeeu mai
ye duniya to kyaa hain ke jannat na lun main
khudana karein tere bin ab jeeu main
ye duniya to kyaa hain ke jaanat na lun main
tere ishq mein apni aankhon mein bhar lun
jo mot aaye to tere badle mein marun main
ye jeevan to kyaa hain jo mil jaaye mujhko
to ye chaand suraj bhi sab kaid karun main
agar mar gaye to phir janam leke aana hai
janam leke aanaha
abhi ghar na jana abhi ghar na jana
abhi ghar na jana abhi ghar na jana
ye bikhari si zulfe ye faila sa kaajal
ye feeka sa gazra ye simta saa aanchal
tere haal se log pehchaan lege
tujhe dekh ke lo mujhe jaan lege
mujhe jaan lege
abhi ghar na jana abhi ghar na jana
abhi ghar na jana abhi ghar na jana.