Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ab Ram Raj Ki Aage Suno Kahani
|
Mohammed Farooqui | Bulo C Rani | ||||
Jai Hanuman (1948) | Pandit Indra | Religious Songs | |||||
ab raam raj ki aage suno kahani
ab raam raj ki aage suno kahani
peete the gaay singh ek ghat par pani
peete the gaay singh ek ghat par pani
ab raam raj ki aage suno kahani
ab raam raj ki aage suno kahani
tha raja aur praja me prem nirala
sab ek dor me bandhe jo moti mala
jab bite baras anek bade sukhdayi
ek dhobhi ne tab avadh me aag lagai
aag lagai
banwasan ho gayi phir se sita rani
ab raam raj ki aage suno kahani
ab raam raj ki aage suno kahani
rishi valmiki ke yaha rahi sukumari
wo sada sichti asuwan se phulwari
lav kush ka janam hua sita lahrayi
phulo ke sang sang khile bade do bhai
dharti me sama gayi phir siya dayani
ab raam raj ki aage suno kahani
ab raam raj ki aage suno kahani