Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ab Na Pehle Se Tum Ho
|
Manhar Udhas, Pankaj Udhas, Nirmal Udhas | |||||
Teen Mausam - Vol 2 (1992) | |||||||
ho ab na pehle se tum ho
na pehle se hum
kya the tum kya the hum
aaj kya ho gaye
ya to tum hat gaye ho kahi raah se
ya to phir hum bhi kuch bewafa ho gaye
ab na pehle se tum ho
murg ne bang di khul gayi khidakiya
subah ne jaagne ka sandesha diya
ma ne nehala dhula kar sanwara hume
hath me doodh ka ek pyala diya
dala gardan me vasta kitaabo bhara
chumi besani hotho ko wo sadiya
hum rawana huye madrase ki taraf
apni sacchai se aasna ho gaye
aasna ho gaye
ab na pehle se tum ho
phir hua yun ki jivan ne aawaz di
hum bhi sapno ka sansar leke chale
deep bankar chali sath maa ki dua
ruh me baap ka pyaar leke chale
kya khabar kis safar ke musafir the hum
saath me ghar ki deewar leke chale
aur phir yun huaa aake ek mod par
ek dujhe se hum tum juda ho gaye
judaa ho gaye
ab na pehle se tum ho
bujh gaye deep maa ki duaao ke sab
baap ke pyaar ka saaz zinda nahi
zindagi jaise bazar ki sabhayta
dusra koi andaaz zinda nahi
sirf sikko ki jhankaar kano me hai
dusari koi aawaz zinda nahi
koi mausam nahi zindagi ke liye
ashq muskaan sab bemaza ho gaye
bemaza ho gaye
ab na pehle se tum ho
jee to chahe mile tumse baate kare
tumse rishate hain kuch tumse naate hain kuch
shaam ki chay ek saath milkar peeye
khatm ho jaaye dil me jo shikve hai kuch
kaisi guzri hai deewali ab ke baras
haal ido ka apni suna do humein
bibi bacho ka kya haal hai in dino
kam se kam phone hi par bata do hume
aisi kya bekhudi aisi kya bedili
kya hua jo humse tum khafa ho gaye
khafa ho gaye
ab na pehle se tum ho
aao phir laut jaaye usi simt hum
pyaar tha sukh ki parchaiya thi jaha
paag behno ke masum se hath mein
bhaiyo ke liye rakhiya thi jaha
thaal mein aarti ke chamkte diye
aur chaukhat pe rangoliya thi jaha
ped imali ke the baag aamo ke the
koyal ki madhur boliyan thi jahan
ghar bhara tha akela na tha koi bhi
chachiya thi jahan bhabhiyan thi jahan
saans chalti hai seene dhadkte nahi
zism zinda hai zazbe panaah ho gaye
panaah ho gaye
ho ab na pehle se tum ho
na pehle se hum
kya the tum kya the hum
aaj kyaa ho gaye
ya to tum hat gaye ho kahi raah se
ya to phir hum bhi kuch bewafa ho gaye
ab na pehle se tum ho