Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ab Kaha Jaye Hum, Ye Bata Aye Zameen
|
Manna Dey | Shankar Jaikishan | Shammi Kapoor | |||
Ujala (1959) | Shailendra | Shikwa Shikayat Songs, Sad Songs | |||||
ab kahan jayen hum ye bata aye zameen
is jahan mein to koi hamara nahin
is jahan mein to koi hamara nahin
apne saye se bhi log darne lagey
ab kisiko kisi par bharosa nahin
ab kisiko kisi par bharosa nahin
ab kahan jayen hum
hum ghar-ghar jate hain ye dil dikhlate hain
par ye duniyawale hum ko thukrate hain
hum ghar-ghar jate hain ye dil dikhlate hain
par ye duniyawale hum ko thukrate hain
raste mit gaye manzilein kho gayi
ab kisi ko kisi par bharosa nahin
ab kahan jayen hum
nafrat hai nigahon mein
vehshat hai nigahon mein
ye kaisa zeher phaila duniya ki hawaon mein
nafrat hai nigahon mein vehshat
hai nigahon mein
ye kaisa zeher phaila duniya ki hawaon mein
pyar ki bastiyan khaq hone lagi
ab kisi ko kisi par bharosa nahin
ab kahan jayen hum
har sans hai mushkil ki har jaan hai ek moti
bazar mein par inki ginti hi nahin hoti
har sans hai mushqil ki har jaan hai ek moti
bazar mein par inki ginati hi nahin hoti
zindagi ki yahan koi keemat nahin
ab kisi ko kisi par bharosa nahin
ab kisi ko kisi par bharosa nahin
ab kahan jayen hum ye bata aye zameen
is jahan mein to koi hamara nahin
is jahan mein to koi hamara nahin
ab kahan jayen hum