Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ab Darne Ki Koi Baat Nahi
|
Mukesh Chand Mathur, Lata Mangeshkar | Ghulam Haider | ||||
Majboor (1948) | Nazim Panipati | ||||||
ab darne ki koi baat nahi
angreji chhora chala gaya
angreji chhora
wo gora gora chala gaya
wo gora gora
aa hum tum baithe neem ke tale
do dilo ke honge aaj bhale
do dilo ke honge aaj bhale
tha jinka dar wo gaye chale
tha jinka dar wo gaye chale
dukh dard ki ghadiya bit gayi
angreji chhora chala gaya
angreji chhora
wo gora gora chala gaya
wo gora gora
ab nahi re
ab nahi hai raaj farangi walo
lo jhanda laga tirangi ka
lo jhanda laga tirangi ka
ab nahi zamana tangi ka
ab dil me khushiya aan basi
angreji chhora chala gaya
angreji chhora
wo gora gora chala gaya
wo gora gora
ha dukh dard farangi laye the
hume lakho rog lagaye the
o hume lakho rog lagaye the
gaye wahi jaha se aaye the
gaye wahi jaha se aaye the
ab pahli baate nahi rahi
angreji chhora chala gaya
angreji chhora
wo gora gora chala gaya
wo gora gora
mohe miliyo
mohe miliyo bhari dopahri
phir chalegi gahri gahri ji
phir chalegi gahri gahri ji
ye din hai bade sunhari ji
ab kaali kaali raat nahi
angreji chhora chala gaya
angreji chhora
ab darne ki koi baat nahi
angreji chhora chala gaya
angreji chhora chala gaya ho
angreji chhora chala gaya ho