The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Aaya Holi Ka Tyohar Leke Rango Ki Bahar
0
Shamshad Begum, Mohammed Rafi Laxmikant Pyarelal Mumtaz
Daku Mangal Singh (1966) Anand Bakshi Masti Bhare Geet, Holi Songs
Lyrics of Aaya Holi Ka Tyohar Leke Rango Ki Bahar - आया होली का त्यौहार लेके रंगों की बहार

aaya holi ka tyohar, leke rango ki bahar
chali panghat ko ek matwali, raste me kisi ne rang dali
raste me kisi ne rang dali
aaya holi ka tyohar, leke rango ki bahar
chala kheto ko ek matwala, raste me kisi ne rang dala
raste me kisi ne rang dala

gharwale puche gayi kyu akeli
jag wale chhede kaha rang kheli
mera kya bata dungi, mera hal ye kisne kiya
ho log magar kuch aur na samjhe
ho log magar kuch aur na samjhe
naam kisi ka lete tera mukhda jo sharmaya
aaya holi ka tyohar, leke rango ki bahar
chala kheto ko ek matwala, raste me kisi ne rang dala
raste me kisi ne rang dala

kaha jati ho gori bahana karke
chhodoge kya diwana karke
bolo re, chhodoge kya diwana karke
meri chunri kahe bhigoyi, is julmi se pucho re koi
meri chunri kahe bhigoyi, is julmi se pucho re koi
julmi se pucho re koi, julmi se pucho
mukh dhaanp ke mai kyu royi is julmi se pucho re koi
ho dono ka hai dosh barabar, dono ka hai dosh barabar
hamne rang lagaya, tune ji ka rog lagaya
aaya holi ka tyohar leke rango ki bahar
chali panghat ko ek matwali, raste me kisi ne rang dali
raste me kisi ne rang dali

na ghabra rang hai kacha chhut jayega
na sharma varna ye dil tut jayega
rangana hai to bedardi mujhe pyar ka rang laga
pyar se pahle soch samjh le
pyar se pahle soch samjh le
baad me jisne socha wo bahut pachhtaya
aaya holi ka tyohar, leke rango ki bahar
chala kheto ko ek matwala, raste me kisi ne rang dala
raste me kisi ne rang dala, raste me kisi ne rang dali
raste me kisi ne rang dali