Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Aath Roz Ki Chhutti Lekar Aa
|
Lata Mangeshkar | Anil Biswas | ||||
Laadli (1949) | Nazim Panipati | Intezaar | |||||
intzari me teri sara september bita
rote rote teri furkat me november bita
aahe bhar bhar ke ye kahta hi celendar mujhse
hichkiya lete hue sara december bita
khula hua hai dil ka ye darwaja re
aath roz ki chuti lekar aaja re aaja re
khula hua hai dil ka ye darwaja re
o babu mere aath roz ki chuti lekar
aaja re aaja re
dil tere hizar me diwana bana jata hai
thandi aaho se barf khana bana jata hai
thandi aaho se barf khana bana jata hai
do hi ashko se hua
do hi ashko se hua unki gali me kichad
meri afsane bhi afsana bana jata hai
are aa aa dil ka rog mita ja re
mita ja re
mita ja re
khula hua hai dil ka ye darwaja re
o inak waale aath roz ki chuti lekar
aaja re aaja re
ho gaye kaid mere dil ko churane wale
haspatalo me gaye aankh milane wale
haspatalo me gaye aankh milane wale
aa tujhe dil ki mai
aa tujhe dil ki mai ek lori suna du jalim
o mujhe hizar ke chulhe me jalane wale
mere dil ki
mere dil ki lagi bujha ja re
bujha ja re
bujha ja re
aath roz ki chuti lekar
aaja re aaja re
khula hua hai dil ka ye darwaja re
o babu mere aath roz ki chuti lekar
aaja re aaja re