Lyrics of Aas Ka Panchhi Udta Jaye - आस का पंछी उड़ता जाए
aas ka panchhi udta jaye, udta jaye
udna iska kaam, manjil aaye na aaye
aas ka panchhi udta jaye, udta jaye
udna iska kaam, manjil aaye na aaye
aas ka raahi chalta jaye, chalta jaye
chalna iska kaam, manjil paye na paye
do phulo ko ik daali par
sang sang khilte dekha
sang sang khilte dekha
ek chadha mandir me
duja dhul me milte dekha
dhul me milte dekha
jivan ke o
jivan ke dukh sukh ki kahani
ek anokha raaz, koi kya samjhaye
aas ka panchhi udta jaye, udta jaye
udna iska kaam, manjil aaye na aaye
sabse bada balwan samay hai
kisne samay ko jana
kisne samay ko jana
waqt ka rup kisi ne ab tak
dekha na pahchana
dekha na pahchana
sham savera o
sham savera rain ka phera
ek anokha raaz, koi kya samjhaye
aas ka panchhi udta jaye, udta jaye
udna iska kaam, manjil aaye na aaye
aas ka raahi chalta jaye, chalta jaye
chalna iska kaam, manjil paye na paye