The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Aao Katha Sunaye Sab Ko
0
Jaiwant Kulkarni Ram Kadam
Sant Tulsidaas (1972) B D Mishra
Lyrics of Aao Katha Sunaye Sab Ko

hum katha sunate ram sakal ghundham ki,
ye ramayan hain punay katha shri ram ki.


shlok- om shri mhaganadhipatye nam:,
om shri umamheshavarabhayy nam:
valmiki gurudev ke pad pankaj siir naay,
sumire maat sarasvati hum par hou shay.
maat-pita ki vandhna karte barmbar,
gurujan raja prajajn naman karo savikar.

hum katha sunate ram sakal gundham ki,
ye ramayan hain puny katha shri ram ki.


jambudhvipe bhrt khade aayavrate bhartvarshe,
ek nagri hain vikhyaat aaayodha naam ki,
yahi janam bhumi hain parm pujay shri ram ki,
hum katha sunate ram sakal gundham ki,
ye ramayan hain puny katha shri ram ki.


raghukul ke raja dharmatma,
chakrvarti dashrath punyaatma,
santati hetu yag karvaya,
dharm yag ka shubh phal paya.
nrup ghar janme cghaar kumara,
raghukul deep jagat adhara,
chaaro bhranto ke shub nama,
bhrt,satrughan,lakshman rama.



guru vashisht ke gurukul jake,
aalp kaal vidhya sab pake,
puran hui sikhsa,
raguvar purn kaam ki,
hum katha suante ram sakal gundham ki,
ye ramayan hain puny katha shri ram ki,
ye ramayan hain puny katha shri ram ki.


mridu savar komal bhavna,
rochak prastuti dhang,
ek ek bar kar varnann kare,
lav kush ram prashang,
vishvmithhr mahamuni raai,
tinke sang chale dauu bhai,
kaise ram tadka maari,
kaise naath ahiliya tari.


munivar vishvamithr tab,
sang le laxman ram,
siya svyambar dekhne,
phoche mithila dham.


jankpuri utsav hain bhari,
jankpuri utsav hain bhari,
apne var ka chyan karegi sita sukumari,
janakpuri utsav hain bhari.


janak raaj ka kathin pran,
suno suno sab koi,
jo tode shiv dhanush ko,
so sita pati hoyi.

ko tode shiv dhanush kathor,
sabki dhristi ram ki aur,
ram vinay gun ke avtar,
guruvar ki agya sirdhar,
shaj bhav se shiv dhanu toda,
janak suta sang nata joda.

raguvar jesa aur na koi,
sita ki samta nahi hoyi,
dau kare prajit,
kanti koti rati kam ki,
hum katha sunate ram sakal ghundham ki,
ye ramayan hain puny katha shri ram ki,
ye ramayan hain puny katha shri ram ki.



sab par sabd mohini dari,
mantr mugad bhaye nar nari,
yu din reen jaat hain bite,
lav kush ne sabke man jeete.


van gaman,sita harn,hanumat milan,
lanka dhan,ravanmaran, ayodhya punragamn.

sh vistar sab katha sunai,
raja ram bhaye ragurai,
ram raj aayo sukhdai,
sukh samridi shri ghar ghar aayi.


kal chakr ne ghtna karm mein,
aisa chakr chalaya,
ram siya ke jeevan mein phir,
ghor andhera chhaya.


avadh mein aisa,aisa ek din aaya,
niskalank sita pe prja ne,
mithya dosh lagaya,
avadh mein aisa,aisa ek din aaya.

chal di siya jab tod kar,
sab neha naate moh ke,
pashan hridhye mein,
na angare jage vidhro ke.


mamtamayi maao ke anchal bhi,
simat kar rah jaye,
gurdev gyan aur niti ke,
sagar bhi ghat kar rah gaye.


an raghukul na raghukulnayak,
koi n siya ka hua shayak.
manavta ko kho bethe jab,
sabhy nagar ke vasi,
tab sita ko hua shayak,
van ka ek sanyashi.


un rishi param udar ka,
valmiki shub naam,
sita ko aashray diya,
le aaye nijj dham.


raghukul mein kuldep jalaye,
ram ke do sut siye na jaaye.

(shrotaghan! jo ek raja ki putri hain,)
ek raja ki puthrvadhu hain.
aur ek chakrvarti raja ki patni hain,
vahi maharani sita vanvas ke dukho mein,
apne din kaise katati hain,
apne kul ke gaurav aur savabhiman ki raksha karte hue,


kisi se shayta mange bina,
kaise apna kaam vo svaym karti hain,
svayam van se lakdi katati hain,
svayam apna dhan kutati hain,
savyam apni chakki pisti hain,
aur apni santan ko savalambhi bnne ki sikhsha,
kaise deti hain ab uski ek kuran jhanki dikhaye.



janak dulari kulvadh dasrath ji ki,
rajrani hoke din van mein batati hain,
rahte the ghere jise dhas dhsai atho yaam,
dhasi bani apni udasi ko chupati hain,
dhrm praveena sati,parm kulina,
sab vidhi dhosh hina jeena dukh mein sikhati hain,

janmata haripriya lakshmi savroopa siya,
kutati hain dhan,bhoj svayam banati hain,
katin kulhadi leke lakdhiyan katti hain,
karam likhe ko par kaat nahee paatee hai,
phool bhee uthaana bhaaree jis sukumaaree ko tha,
duhkh bhare jeevan ka bojh vo uthaatee hai,
ardhaanginee raghuveer kee vo dhar dheer,
bharatee hai neer, neer nain mein na laatee hai,
jisake praja ke aapavaado ke kuchakro mein vo,
pisatee hain chakkee,
svaabhimaan ko bachaatee hain.


paalatee hain bachcho ko
vo karmayoginee kee bhaati,
svaabhimaan svaavalambee sabal banatee hai.
aisee seeta maata kee
pareeksha lete,duhkh dete.
nithur niyati ko
daya bhee nahin aatee hain,
oh oh oh oh
us dukhiya ke raaj dulaare,
ham hee sut shree raam tihaare,

oh oh oh oh
seeta maan kee aankh ke taare
lav kush hain pitu naam hamaare,
he pitu bhaagy hamaare jaage
raam katha kahee raam ke aage.