Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Aankho Aankho Me Naa Jane Kya
|
Asha Bhosle, Mohammed Rafi | Roshan | ||||
Bedaagh (1965) | Shakeel Badayuni | ||||||
aankho aankho me na jane kya ishare ho gaye
muskura kar tumne dekha ham tumhare ho gaye
aankho aankho me na jane
rat-din ki bekrari umar bhar ki bekhudi
rat-din ki bekrari umar bhar ki bekhudi
dil laga kar kuch to jine ke sahare ho gaye
aankho aankho me na jane
haye ye masum chehra ye ada ye bankpan
haye ye masum chehra ye ada ye bankpan
tumse mil ke rang dil ke aur pyare ho gaye
aankho aankho me na jane
tumko pa kar is jaha me hamne sab kuch pa liya
tumko pa kar is jaha me hamne sab kuch pa liya
ab hame kya chahiye jab tum hamare ho gaye
muskura kar tumne dekha ham tumhare ho gaye
aankho aankho me na jane