Lyrics of Aam Hindustani - आम हिंदुस्तानी
dhobi ka kutta jaise ghat ka na ghar ka
poori tarah na idhar ka, na udhar ka
sun re nikhattu tera wohi to haal hai
zindagi ki race me jo munh utha ke dauda
zindagi ne maari laat peeche chhoda
tu hai wo tattu, gadhe si jiski chaal hai
pyar me thenga, bar me thenga
inki botal bhi goron ki gulaam hai
roothi hai mehbooba, roothi roothi sharab hai
hey aam hindustani teri kismat kharab hai
roothi hai mehbooba, roothi roothi sharab hai
hey aam hindustani teri kismat kharab hai
aasman se yun gira, khajoor pe tu atka
tere halat ne uthake tujhko patka
ki aisi champi ki tere hosh ud gaye
bewafai dekh ke jo aayi tujhko hichki
chaudi chhati teri chutkiyon me pichki
gham ki pappi mili to baal jhad gaye
pyaar me thenga, bar me thenga
inki botal bhi goron ki gulam hai
roothi hai mehbooba, roothi roothi sharab hai
hey aam hindustani teri kismat kharab hai
roothi hai mehbooba, roothi roothi sharab hai
hey aam hindustani teri kismat kharab hai
aadmi nahi tu samjhe khud ko machhli
ulti ganga me hai tairne ki khujli
par yeh hukoomat jo hai magarmachh hai
lalach ne tujhko aisi patti padhai
khwahish ne li hai degchi kadhai
taqdeer teri abhi bhi chammach me hai
pyaar me thenga, bar me thenga
inki botal bhi goron ki ghulam hai
roothi hai mehbooba, roothi roothi sharab hai
hey aam hindustani teri kismat kharab hai
roothi hai mehbooba, roothi roothi sharab hai
hey aam hindustani teri kismat kharab hai