Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Aaj Rota Hai Kyu Jaan Khota Hai Kyo
|
Mohammed Rafi | Madan Mohan | ||||
Ghar Ka Chirag (1967) | Kaifi Azmi | Sad Songs | |||||
aaj rota hai kyu, aaj rota hai kyu
aaj rota hai kyu jaan khota hai kyu
julm dhata raha muskurata raha
jaal har raste me bichhata raha
fas gaya khud to bechain hota hai kyu
aaj rota hai kyu jaan khota hai kyu
phul tera bhi khilne na paye
baddua hai di baago ne tujhko
phul tera bhi khilne na paye
baddua hai di baago ne tujhko
bhar diya zindagi me andhera
ye saza di hai chirago ne tujhko
tu jo har roshani ko bujhta raha
jaal har raste me bichhata raha
fas gaya khud to bechain hota hai kyu
aaj rota hai kyu jaan khota hai kyu
rahm ki bhikh duniya na tujhko degi
tujhko duniya pe kab rahm aaya
rahm ki bhikh duniya na tujhko degi
tujhko duniya pe kab rahm aaya
pad gaya jis pe tera saya
dil kabhi vo dhadkane na paya
hasne valo rona sikhata raha
jaal har raste me bichhata raha
fas gaya khud to bechain hota hai kyu
aaj rota hai kyu jaan khota hai kyu
use pahle bhi gujare hai jalim
unka anjam kuch to socha hota
use pahele bhi gujare hai jalim
unka anjam kuch to socha hota
dhup kab tak julm ki rahegi
aayegi shyam socha to hota kaise kaise tu
julm dhata raha muskurata raha
jaal har raste me bichhata raha
fas gaya khud to bechain hota hai kyu
aaj rota hai kyu jaan khota hai kyu