Lyrics of Aaj Nahi To Kal Bikharenge Ye Badal - आज नहीं तो कल बिखरेंगे ये बादल
aaj nahin to kal bikhrenge ye baadal
o raat ke bhoole huye musaafir
subah huyi ghar chal
ab ghar chal re
jod le phir se tooti mamta,
baandh le prem ki dori
zindgaani se door bhaagna
hai mann ki kamzori
ye sab dukh ke pal
ek din jaayenge tal
o raat ke bhoole huye musaafir
subah huyi ghar chal
ab ghar chal re
dhadhhak raha sansaar hamaara
dooba bhaagya sitaara
kise pata hai, iske bheetar
kya hai prabhu ka ishaara
chinta chhod sakal har mushqil hogi sehal
o raat ke bhoole huye musaafir
subah huyi ghar chal
ab ghar chal re
jeewan ek sangraam hai jogi
sankat se kya darna
bhav-saagar mein bhanwar bichhi hain,
hans hans paar utarna
ab to zara sambhal tera jaayega bhaagya badal
o raat ke bhoole huye musaafir
subah huyi ghar chal
ab ghar chal re
aaj nahin to kal bikhrenge ye baadal
o raat ke bhoole huye musaafir
subah huyi ghar chal
ab ghar chal re