Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Aaj Kii Hasin Raat Has Ke Guzar
|
Usha Khanna, Asha Bhosle | Usha Khanna | ||||
Ek Raat (1968) | Yogesh | ||||||
aaj ki hasin raat hans ke guzaar
kaun jane aaye ke na aaye phir bahar
kaun jane aaye ke na aaye phir bahar
aaj ki hasin raat hans ke guzaar
kaun jane aaye ke na aaye phir bahar
kaun jane aaye ke na aaye phir bahar
aaj ki hasin raat hans ke guzaar
ye dil se sab bhula do accha hai kya bura hai
hans hans ke jeena sikho jeene ki ye ada hai
ye dil se sab bhula do accha hai kya bura hai
hans hans ke jeena sikho jeene ki ye ada hai
kal ke na khab dekho kal ki na baat socho
kal to hai kya yaha par kal ko nahi pata hai
aaj ki hasin raat hans ke guzaar
kaun jane aaye ke na aaye phir bahar
kaun jane aaye ke na aaye phir bahar
aaj ki hasin raat hans ke guzaar
kya jane jab ye saanse ruk jaye chalte chalte
ye shama zindagi ki bujh jaye jalte jalte
kya jane jab ye saanse ruk jaye chalte chalte
ye shama zindagi ki bujh jaye jalte jalte
aati hai rok kahan aisi ye raat jawa
ye raaz kah rahi hai ab raat dhalte dhalte
aaj ki hasin raat hans ke guzaar
kaun jane aaye ke na aaye phir bahar
kaun jane aaye ke na aaye phir bahar
aaj ki hasin raat hans ke guzaar
kaun jane aaye ke na aaye phir bahar
kaun jane aaye ke na aaye phir bahar
aaj ki hasin raat hans ke guzaar