The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Aaj Jagat Me Raambaan Hai
0
Mohan Choti, Nitin Mukesh, Mohammed Rafi Shamji Ghanshyamji
Dhoti Lota Aur Chaupaty (1975) Kulwant Jani
Lyrics of Aaj Jagat Me Raambaan Hai - आज जगत में रामबाण हैं

jaise jahar jahar ko marta hain
vaise main chamche ko karchhe sse marunga
wo kaise
aaj jagat me ram baan hain
jisko khushamad kahte hain
jinhone paya ye gurumantr
sada sukhi wo rahte hain
sach hain bhai sach hain
ji hujuri aur khushamad
ki duniya me bhagat jano
ji hujuri aur khushamad
ki duniya me bhagat jano
chhod ek har bhagvaan ki puja
is devi ke shran pado
chhod ek har bhagvaan ki puja
is devi ke shran pado
chamchagiri ka paath padho bhai
chamchagiri ka paath padho
chamchagiri ka paath padho bhai
chamchagiri ka paath padho
are chamchagiri ki zindabad

jiskki patanga aakash ko chhuye
uske kadam na chhodo tum
jiski dor kate fire usse
apna nata todo tum
ye chamcho ki rit hain bhaiya
isi me apni jeet hain bhaiya
jisaki jaisi surat jaise dekho
usse vaisi baat karo
ji hujuri ki duniya me
chamchagiri ka paath padho
are ji hujuri ki duniya me
chamchagiri ka paath padho
are chamchagiri ki zindabad

koi sahab ka chamcha to
koi biwi ki chamchi hain
chmche ka jo chamcha bana bhai
kismat uski chamki hain
kya rari kya rishta nata
jisaki kalam hain usi ka khata
waqt pade to chmcho ke bhi
chmche banke chilam bharo
ji hujuri ki duniya me
chamchagiri ka paath padho
are ji hujuri ki duniya me
chamchagiri ka paath padho
are chamchagiri ki zindabad

dhoti aur ek lota lekar
aaye jo chaupati par, aha aha aha
vo pahunche hain kadi lagan se
jis shoharat ki ghati par
tum chaho to bina lagan ke
haye ji hujuri ke is fan se
us ghati se unchi ghati par bhi
ek din ja pahuncho
ji hujuri ki duniya me
chamchagiri ka paath padho
are ji hujuri ki duniya me
chamchagiri ka paath padho
are chamchagiri ki zindabad

murga murgi anda sabji, chahe ho lakho pakvaan
waah bhai waah, waah bhai waah
ek agar chamcha na ho to, rahe adhure dafterkhan
waah bhai waah, waah bhai waah
chmche bina to rah jati hain, paki pakai handi bhi
waah bhai waah, waah bhai waah
pade pade pani ho jaye, wishki aur braandi
waah bhai waah, waah bhai waah
jitne jyada jiske chmche, utni jyada uski shaan
waah bhai waah, waah bhai waah
chmche ho to lakh fayade, na ho to kitne nuksan
is duniya me chhota bada sab
kisi na kisi ka chamcha hain
sach hain bhai sachh hain
nirdhan hain dhanvaan ka chamcha
nirbal hain balvaan ka chamcha
gyaani hain gunvaan ka chamcha
pandit hain jajmaan ka chamcha, jai ho jai ho
hadippa jai ho, hadippa jai ho
hadippa jai ho

kar de kaary pathaan ka chamcha
hoye hoye hoye hoye
banwari hain paan ka chamcha
hoye hoye hoye hoey
petu hain pakvaan ka chamcha
tattu hain dhanvaan ka chamcha
chor hain thane dar ka chamcha
baniya hain shahudar ka chamcha
chor hain thane dar ka chamcha
baniya hain shahudar ka chamcha
aashiq hain dildaar ka chamcha
chamcha chmchedaar ka chmcha
chamchagiri zindabad
chamchagiri zindabad
chamchagiri zindabad
bol maha chamcha ki jai