Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Aaj Hoga Wahi Tum Samjh Lo Sahi
|
Mohammed Rafi | Chitragupt | ||||
Sakshi Gopal (1957) | Bharat Vyas | ||||||
aaj hoga wahi tum samjh lo sahi
meri bhakti se bhagwan uljhna nahi
meri bhakti se bhagwan uljhna nahi
jo lagate tumhe bhog bin bhav se
aise bhakto me humko samjhna nahi
meri bhakti se bhagwan uljhna nahi
shak dekha vidhur ka to lalcha gaye
ber jhute bhii sabri ke tum kha gaya
shak dekha vidhur ka to lalcha gaye
ber jhute bhii sabri ke tum kha gaya
bhog sabke chakhe bate sabki rakhi
meri bari jo aayi to sharma gaye
meri aankhe hai surat ki pyasi inhe
teri murat se aata bahalna nahi
teri murat se aata bahalna nahi
aaj hoga wahi tum samjh lo sahi
meri bhakti se bhagwan uljhna nahi
meri bhakti se bhagwan uljhna nahi
tum chhupe ho are banke yu beraham
aise zid me nahi hum bhi utrenge kam
tum chhupe ho are banke yu beraham
aise zid me nahi hum bhi utrenge kam
ab to bazi lagi bhakti bhagwan ki
dekhna aaj rahta hai kiska aham
ab na khayenge tumko khilaye bina
hume aata hai rasta badalna nahi
hume aata hai rasta badalna nahi
aaj hoga wahi tum samjh lo sahi
meri bhakti se bhagwan uljhna nahi
meri bhakti se bhagwan uljhna nahi