Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Aaj Hai Gulfam Se Bhi Badhkar Teri Shan
|
Asha Bhosle | Ravi | ||||
Sindbad Alibaba Aur Alladin (1965) | S H Bihari | ||||||
aaj hai gulfam se bhi badhke teri shaan
allah meharban to gadha pahalwan
allah meharban to gadha pahalwan
aaj hai gulfam se bhi badhke teri shaan
allah meharban to gadha pahalwan
allah meharban to gadha pahalwan
jaane tu jaat ka dobhi ya koi naai hai
hai koi chor ya mochi hai ya halwai hai
jaane tu jaat ka dobhi ya koi naai hai
hai koi chor ya mochi hai ya halwai hai
jo bhi hai apne liye hai mujhe is baat se kya
badshahat teri kismat me magar teri aayi hai
badshahat teri kismat me magar teri aayi hai
kadmo me tere hai takat suleman
allah meharban to gadha pahalwan
allah meharban to gadha pahalwan
aaj hai gulfam se bhi badhke teri shaan
allah meharban to gadha pahalwan
allah meharban to gadha pahalwan
aisi surat to nahi thi ke tujhe hur mile
aisi surat to nahi thi ke tujhe hur mile
farshe makhmal pe chale khane ko angur mile
farshe makhmal pe chale khane ko angur mile
tune socha bhi na hoga ke teri raato ko
husnwalo ke hasi jalwo ka ye nur mile
husnwalo ke hasi jalwo ka ye nur mile
kismat ka hai sara khel meri jaan
allah meharban to gadha pahalwan
allah meharban to gadha pahalwan
aaj hai gulfam se bhi badhke teri shaan
allah meharban to gadha pahalwan
allah meharban to gadha pahalwan
kal talak thande pade the tere ghar ke chulhe
aaj baaho me hasino ke tu jhula jhule
kal talak thande pade the tere ghar ke chulhe
aaj baaho me hasino ke tu jhula jhule
tujhpe kuch itna meharban hai uparwala
aaj tu chahe to ye chand sitare chhule
aaj tu chahe to ye chand sitare chhule
hazir hai aaj sabhi aish ke samaan
allah meharban to gadha pahalwan
allah meharban to gadha pahalwan
aaj hai gulfam se bhi badhke teri shan
allah meharban to gadha pahalwan
allah meharban to gadha pahalwan