Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Aaj Galiyon Me Tere Aaya Hai
|
Mohammed Rafi | Naushad | ||||
Sohni Mahiwal (1958) | Shakeel Badayuni | Sad Songs | |||||
ae meri zindagi ke sahare kaha hai tu
mujhko bhi apne paas bulale jaha hai tu
aaj galiyo me teri aaya hai diwana tera
aaj galiyo me teri aaya hai diwana tera
dil me lekar gum tera hotho pe afsana tera
aaj galiyo me teri
bhikh de didar ki parda utha jalwa dikha
bhikh de didar ki parda utha jalwa dikha
mangta hai husn ki khairat mastana tera
mangta hai husn ki khairat mastana tera
aaj galiyo me teri aaya hai diwana tera
aaj galiyo me teri
tu hi dil ko husn ki chingariyo se fuk de
tu hi dil ko husn ki chingariyo se fuk de
aag me gum ki jala jata hai parwana tera
aag me gum ki jala jata hai parwana tera
aaj galiyo me teri
teri marji hai bana de ya mita de tu mujhe
teri marji hai bana de ya mita de tu mujhe
zindagi tujh par hai sadke dil hai najrana tera
zindagi tujh par hai sadke dil hai najrana tera
aaj galiyo me teri aaya hai diwana tera
dil me lekar gum tera hotho pe afsana tera
aaj galiyo me teri