Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Aaj Aayenge Bhagwan Wohi Jinka Nam Hai Ram
|
Manna Dey, Lata Mangeshkar | S N Tripathi | ||||
Ram Lila (1961) | Prem Dhawan | ||||||
aaj aayenge bhagwan wohi jinka nam hai ram
hamre angna me ho hamre angna me
banke mehmaan re pag pag me bichado apne pran re
pag pag me bichado apne pran re
raja dasrath pita hai jinke kaushlya hai maiya
kaushlya hai maiya
rajmehel ko chhod jo firte ban me haye daiya
ban me haye daiya
choom lo un charno ko choom lo un charno ko
jinpe dharti bhi kare abhimaan re
pag pag me bichado apne pran re
pag pag me bichado apne pran re
na tere na mere wo to sabke ram ramaiya
sabke ram ramaiya
paar kare ham nadiya wo bhawsagar ke khivaiya
bhawsagar ke khivaiya
duniya ke dukh harne duniya ke dukh harne
bhagwan aaya banke insaan re
pag pag me bichado apne pran re
pag pag me bichado apne pran re
aaj aayenge bhagwan wohi jinka nam hai ram
hamre angna me ho hamre angna me
banke mehmaan re pag pag me bichado apne pran re
pag pag me bichado apne pran re