Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Aaine Me Ek Chand Si Surat Nazar Aayi
|
Surendra Nath, Amirbai Karnataki | Naushad | Munawar Sultana, Leela Mishra, Himalaywala, Surendra | |||
Elaan (1947) | Zia Sarhadi | ||||||
aaine me ek chaand si surat nazar aai
aaine me ek chaand si surat nazar aai
sau baar hui jis pe fidaa saari khudaai
ho surat nazar aai
sau baar hui jis pe fidaa saari khudaai
ho surat nazar aai
aankho me tamnnaao kaa aabaad zamanai
har baat kuchh aisi ke mohabbat kaa fasaanaa
aankho me tamnnaao kaa aabaad zamana
har bat kuchh aisi ke mohabbat ka fasana
phulo ne nazaaqat tere rukhasaar se pai
ho surat nazar aai
aaine me ek chaand si surat nazar aai
dhalkaa hua aanchal ho qayaamat ki adaaye
detaa hai meraa dil tujhe rah-rah ke duaaye
dhalkaa hua aanchal ho kayaamat ki adaaye
detaa hai meraa dil tujhe rah-rah ke duaaye
aa husn salaamat rahe aabaad rahe tu
ai husn salaamat rahe aabaad rahe tu
tu hai to tere dam se hai aabaad khudaai
tu hai to tere dam se hai aabaad khudaai
o surat nazar aai
aaine me ek chaand si surat nazar aai