Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Aaine Ke Samne Is Tarha Se
|
Pankaj Udhas | |||||
Geetnuma (Pankaj Udhas) (0) | Ghazals | ||||||
aaine ke saamne
aaine ke saamne is taraha se jaaya na karo
aaine ke saamne is taraha se jaaya na karo
kuch aaine bhi jyaadar huaa karte hain
wo agar seene se lipta lenge to phir
phir kyaa hoga aaine ke saamne
is tarah se jaaya na karo
husn daulat hain usse sabko dikhaya na karo
husn daulat hain usse sabko dikhaya na karo
baag me ghumne tum shaam ko jaaya na karo
dekho phoolo me bhi kuch chor huaa karte hain
rang woh gaalon ka chura lenge
to phir phir kyaa hoga
aaine ke saamne is taraha se jaaya na karo
ban sanwar ke kabhi bazaar me jaaya na karo
ban sanwar ke kabhi bazaar me jaaya na karo
saath chalte huye tum haath chhudaya na karo
tum pe sab logo ki nazaren hain tumhein kyaa maalum
bheed me woh tum ko chhupa lenge to phir
phir kyaa hoga
aaine ke saamne is tarah se jaaya na karo
koi mehfil ho mere saath tum aaya na karo
koi mehfil ho mere saath tum aaya na karo
dosto se mere tum hath milaya na karo
dosto me kahin shayar huaa karte hain
tumko woh shero me saja lenge to phir
phir kyaa hoga
aaine ke saamne is taraha se jaaya na karo
kuch aaine bhi jyadar huaa karte hain
wo agar seene se lipta lenge to phir
phir kyaa hoga
aaine ke saamne iss taraha se jaaya na karo