Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Aadmi Wo Hai Musibat Se
|
Pushpa Hans | Vasant Desai | ||||
Sheesh Mahal (1950) | Behzad Lakhnavi,, Shams Lakhnavi | ||||||
aadmi wo hai musibat se pareshan na ho
aadmi wo hai musibat se pareshan na ho
koi mushkil nahi aisi ke jo aasan na ho
koi mushkil nahi aisi ke jo aasan na ho
aadmi wo hai musibat se pareshan na ho
ye hamesha se hai takdir ki
gardish ka chalan
ye hamesha se hai takdir ki
gardish ka chalan
chand suraj ko bhi lag jata hai ek bar grhan
chand suraj ko bhi lag jata hai ek bar grhan
waqt ki dekh ke tabdiliya hairan na ho
waqt ki dekh ke tabdiliya hairan na ho
aadmi wo hai musibat se pareshan na ho
ye hai dunia yaha din dhalta hai sham aati hai
ye hai dunia yaha din dhalta hai sham aati hai
subah har roz naya leke paiyam aati hai
jani bujhi hui bato se tu anjan na ho
jani bujhi hui bato se tu anjan na ho
aadmi wo hai musibat se pareshan na ho
koi mushkil nahi aisi ke jo aasan na ho
aadmi wo hai musibat se paresha na ho