Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Aadhi Raat Ko Ye Duniyaa Waale
|
Ghulam Ali | |||||
Bata Do Tum (Ghula (0) | |||||||
aadhi raat ko ye duniyaa waale
jab khaabo me kho jaate hai
aise me mohabbat ke rogi
yaado ke chiraag jalaate hai
karte hai mohabbat sab hi magar
har dil ko silaa kab miltaa hai
kkarte hai mohabbat sab hi magar
har dil ko silaa kab miltaa hai
aati hai bahaare gulshan me har phul
magar kab khiltaa hai
karte hai mohabbat sab hi magar
sab hi magar
mai raanjhaa na thaa tu hir na thi ham
apnaa pyaar nibhaa na sake
yun pyaar ke khwaab bahut dekhe taabir
magar ham paa na sake
maine to bahut chaahaa lekin tu rakh naa
saki waado kaa bharam
maine to bahut chaahaa lekin tu rakh naa
saki waado kaa bharam
ab rah rah kar yaad aataa hai jo
tune kiyaa is dil pe sitam
pardaa jo hataa dun chehare se
tujhe log kahege harjaai
majbur hun mai dil ke haatho
manzur nahi teri ruswaai
sochaa hai ke apne hotho par mai chup
ki mohar lagaa lungaa
sochaa hai ke apne hotho par mai chup
ki mohar lagaa lungaa
mai teri sulgati yaado se ab is dil ko
bahalaa lungaa
mai teri sulagati yaado se
yaado se yaado se