Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Aadhe Udhar Hain Aadhe Idhar
|
Mukesh Chand Mathur | Roshan | Gajanan Jagirdar, Manorama, Shyama, Sajjan | |||
Ghar Ghar Mein Diwali (1955) | Prem Dhawan | ||||||
aadhe udhar hai aur aadhe idhar
ye hazrate din hai na jane kidhar
unko khabar hai na humko khabar
ye hazrate din hai na jane kidhar
aadhe udhar hai aur aadhe idhar
zulfo ki galiyo me khoye kabhi
hai palko ki chhanv me soye kabhi
zulfo ki galiyo me khoye kabhi
hai palko ki chhanv me soye kabhi
dhundhe to dhundhe dil ko kahan
ho dhundhe to dhundhe dil ko kahan
ki aisi lagi hai kisi ki nazar
ye hazrate din hai na jane kidhar
aadhe udhar hai aur aadhe idhar
unki nazar ka ishara mila
kuch apne junu ka sahara mila
unki nazar ka ishara mila
kuch apne junu ka sahara mila
kahte huye ye miya majnu chale
ho kahte huye ye miya majnu chale
ki jab se mili hai nazar se nazar
ye hazrate din hai na jane kidhar
unko khabar hai na humko khabar
ye hazrate din hai na jane kidhar