Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Aa Jao Rasiya Sawan Ke Din Aaye
|
Manna Dey, Lata Mangeshkar | Hemant Kumar | ||||
Champa Kali (1957) | Rajinder Krishan | Masti Bhare Geet | |||||
aa jao rasiya sawan ke din aaye aa jao rasiya sawan ke din aaye
wo ghata kari kari jiya tadpaye o rasiya sawan ke din aaye
aa jao rasiya sawan ke din aaye wo ghata kari kari jiya tadpaye
o rasiya sawan ke din aaye
goonji bago me koyal ki kuk re uthi dil se mohabbat ki huk re
goonji bago me koyal ki kuk re uthi dil se mohabbat ki huk re
saiya jis din mile kali dil ki khile mit jayegi virha ki bukh re
koi jake khabar laye o rasiya sawan ke din aaye
aaja o rasiya sawan ke din aaye
wo ghata kari kari jiya tadpaye o rasiya sawan ke din aaye
teri payal ki cham cham ke geet re
aaya sun sun ke pardesi meet re
aaya sun sun ke pardesi meet re
teri payal ki cham cham ke geet re
aaya sun sun ke pardesi meet re
ho naina kajra laga baiya gajra saja
jage manwa me soi soi preet re
kaahe ghunght me ab sharmaye
o rasiya sawan ke din aaye
aa jao rasiya sawan ke din aaye
wo ghata kari kari jiya tadpaye
o rasiya sawan ke din aaye
aayi saj dhaj ke phulo ki doliya
piche piche hai bhawro ki toliya
aayi saj dhaj ke phulo ki doliya
piche piche hai bhawro ki toliya
dekho dekho agar takrai najar
dil bolega mithi mithi boliya
he ri he ri sajan man bhaye
o rasiya sawan ke din aaye
aa jao rasiya sawan ke din aaye
wo ghata kari kari jiya tadpaye
o rasiya sawan ke din aaye
aa jao rasiya sawan ke din aaye
aa jao rasiya sawan ke din aaye
aa jao rasiya sawan ke din aaye