Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Aa Ja Khadi Hu Teri Raho Me
|
Asha Bhosle | Usha Khanna | ||||
Aaja Sanam (1975) | M K Javed | ||||||
aaja aaja kahdi hu teri raaho me
aaja aaja kahdi hu teri raaho me
mere sathi kahan hain tu
meri duniya kahan hain tu
aaja aaja kahdi hu teri raaho me
mere sathi kahan hain tu
meri duniya kahan hain tu
aaja aaja
jalti saanse tapte aansu
dil hain bojhal bojhal
aankho me chha gaya andhera
jaise hua tu ojhal
mujhko le le tu palko ki chhav me
mujhko le le tu palko ki chhav me
mere sathi kahan hain tu
meri duniya kahan hain tu
aaja aaja
pyar ke badle pyar milega
ye masum yaki tha
phul bhi angare bante hain
ye malum nahi tha
maine aankhe bichhayi hain raaho me
maine aankhe bichhayi hain raaho me
mere sathi kahan hain tu
meri duniya kahan hain tu
aaja aaja
kitna hasi aagaze mohabbat
jiska hain ye anjaam
jalne lage hain honth bhi mere
le lekar tera naam
dil na tute mohabbat ki raaho me
dil na tute mohabbat ki raaho me
mere sathi kahan hain tu
meri duniya kahan hain tu
aaja aaja