Click on an artist to see artist record and click song to get the complete song details
Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
zindagi bhar nahi bhulegi wo barsaat ki raat ek anjaan hasina se mulaqaat ki raat zindagi bhar nahi bhulegi haay wo reshmi zulfo se barasta pani haay wo reshmi zulfo se barasta pani phool se gaalo pe rukne ko tarasta pani dil me toofaan uthaate huye dil me toofaan uthaate huye jazbaat ki raat zindagi bhar nahi bhulegi wo barsaat ki raat zindagi bhar nahi bhulegi dar ke bijli se achaanak wo lipatna uska aur phir sharam se bal kha ke simatna uska kabhi dekhi na suni aisi ho kabhi dekhi na suni aisi tilismaat ki raat zindagi bhar nahi bhulegi surkh aanchal ko dabakar jo nichoda usne surkh aanchal ko dabakar jo nichoda usne dil pe jalta hua ek teer sa chhoda usne aag pani me lagate huye aag pani me lagate huye halaat ki raat zindagi bhar nahi bhulegi mere naghmo mei jo basti hai wo tasveer thi wo naujawaani ke haseen khwaab ki taabeer thi wo aasmanon se utar aayi ho aasmanon se utar aayi thi jo raat ki raat zindagi bhar nahi bhulegi wo barsaat ki raat ek anjaan hasina se mulaqaat ki raat zindagi bhar nahi bhulegi
Film cast:
Bharat Bhushan, Madhubala, Shyama, Ratna, Chandrashekhar, Mumtaz Begum, S K Prem, K N Singh, Peace Kanwal
Singer:
Asha Bhosle, Balbir Bittu, Kamal, Lata Mangeshkar, Manna Dey, Mohammed Rafi, S D Batish, Shankar Shambhu, Sudha Malhotra, Suman Kalyanpur
Lyricist:
Sahir Ludhianvi
Music Director:
Roshan
Film Director:
P L Santoshi
External Links:
Barsaat Ki Raat at IMDB Barsaat Ki Raat at Wikipedia