Click on an artist to see artist record and click song to get the complete song details
Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
iktaara bole tun tun kya kahe ye tumse, sun sun iktaara bolo tun tun kya kahe ye tumse, sun sun baat hai lambi matlab gol khol na de ye sabke pol, to phir uske baad iktaara bole tun tun tun tun tun tun iktaara bole tun tun kya kahe ye tumse, sun sun iktaara bole tun tun tun tun tun tun kuchh aise log bhi hote hain, kuchh aise log bhi hote hain apni galti pe rote hain, apna to pet nahi bharta par das das bachche hote hain, par das das bachche hote hain har saal calender chaap diya parivaar niyojan saaf kiya, to phir uske baad iktaara bole tun tun tun tun tun tun iktaara bole tun tun kya kahe ye tumse, sun sun iktaara bole tun tun tun tun tun tun arre rocket koi chadhata hai, arre rocket koi chadhata hai koi atom bomb banaata hai, aman ke naam pe dekho wo duniya pe rob jamaata hai, duniya pe rob jamaata hai baarood agar ye chal jaaye saari duniya jal jaaye, to phir uske baad iktaara bole tun tun tun tun tun tun iktaara bole tun tun kya kahe ye tumse, sun sun iktaara bole tun tun tun tun tun tun mandir se log ghabraate hain, mandir se log ghabraate hain aur roz club me jaate hain, log bhakti bhajan sab bhool gaye aur filmi gaane gaate hain, aur filmi gaane gaate hain jab dharm nahi aur sharm nahi koi bhi achchha karm nahi, to phir uske baad iktaara bole tun tun tun tun tun tun iktaara bole tun tun kya kahe ye tumse, sun sun iktaara bole tun tun tun tun tun tun do kism ke neta hote hain, ik deta hai ik paata hai, ho ho ik desh ko lut ke khata hai, ik desh pe jaan lutata hai, ho ho ik zinda rah kar marta hai, ik mar kar jeewan paata hai ik mara to naam-o-nishaan hi nahi, ik yaadgaar ban jaata hai ik yaadgaar ban jaata hai bhagwaan kare mere desh ke sab neta hi ban jaaye aise thode se laal bahadur ho, thode se ho nehru jaise thode se ho nehru jaise raam na kare mere desh ko, raam na kare mere desh ko kabhi bhi aisa neta mile jo aap bhi doobe desh bhi doobe janta ko bhi le doobe, arre janta ko bhi le doobe vote liya aur khisak gaya jab kursi se chipak gaya, to phir uske baad, uske baad iktaara bole tun tun tun tun tun tun iktaara bole tun tun kya kahe ye tumse, sun sun iktaara bole tun tun tun tun tun tun tun tun tun tun tun tun tun tun tun tun tun tun
Film cast:
Manoj Kumar, Nutan, Kamini Kaushal, Pran, Prem Chopra, Madan Puri, Asit Sen, Sahmmi, Mohan Choti, Jay Shree T, Tiwari, Laxmi Chhaya, Jr Mehmood
Singer:
Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor, Manhar Udhas, Nutan
Lyricist:
Indeevar, Varma Malik
Music Director:
Kalayanji, Anandji
Film Director:
S Ram Sharma
External Links:
Yaadgaar at IMDB Yaadgaar at Wikipedia