Click on an artist to see artist record and click song to get the complete song details
Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
aurat ne janam diya mardo ko , mardo ne use bazar diya jab ji chaha masla kuchla, jab ji chaha dutkar diya aurat ne janam diya mardo ko tulati hai kahi dinaro me, bikti hai kahi bazaro me nangi nachavai jati hai, aiyyasho ke darbaro me ye vo beizzat chiz hai jo, bat jati hai izzatdaro me aurat ne janam diya mardo ko mardo ke liye har zulm rava, aurat ke liye rona bhi khata mardo ke liye lakho seje, aurat ke liye bas ek chita mardo ke liye har aish ka haq, aurat ke liye jina bhi saza aurat ne janam diya mardo ko jin hotho ne inko pyar kiya, un hotho ka vyapar kiya jis kokh me inka jism dhala, us kokh ka karobar kiya jis tan se uge kopal ban kar, us tan ko zalil-o-khar kiya aurat ne janam diya mardo ko mardo ne banayi jo rasme, unko haq ka farmaan kaha aurat ke zinda jalne ko, kurbani aur balidaan kaha kismat ke badle roti di, usko bhi ehsaan kaha aurat ne janam diya mardo ko sansaar ki har ek besharmi, gurbat ki god me palti hai chaklo me hi aa ke rukati hai, faako se jo raah nikalti hai mardo ki havas hai jo aksar, aurat ke paap me dhalti hai aurat ne janam diya mardo ko aurat sansaar ki qismat hai, fir bhi taqdir ki heti hai avatar payambar janati hai, phir bhi shaitan ki beti hai ye vo badaqismat maa hai jo, beto ki sez pe leti hai aurat ne janam diya mardo ko aurat ne janam diya mardo ko, mardo ne use bazar diya jab ji chaha masla kuchla, jab ji chaha dutkar diya aurat ne janam diya mardo ko
Film cast:
Sunil Dutt, Vyjayantimala, Alhad Radha Krishnan, Nandini, Manmohan, Ravikant, Leela Chitnis
Singer:
Asha Bhosle, Balbir, Geeta Dutt, Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Lyricist:
Sahir Ludhianvi
Music Director:
N Dutta
Film Director:
B R Chopra
External Links:
Sadhna at IMDB Sadhna at Wikipedia